Dear Student,
NIT Patna mein B. Tech course admission lene ke liye aapko JEE Main entrance exam dena hoga and minimum cutoff ke saath qualify karna hoga. JEE rank and JoSAA (Joint Seat Allocation Authority) counselling ke basis pe hi NIT Patna mein admission hote hain for engineering courses. Agar aapka 12th Boards percentage 68% hain, phir aap JEE Mains ke liye eligible hain. Please note that admission ke liye cutoff different courses ke hisaab se vary karega. NIT Patna ka admission procedure poora online mode mein hoga jiske liye apko uski official website visit karni hogi.
Agar aapko 2025 session mein NIT Patna mein admission lena hai to aapki jankaari ke liye bata dein ki JEE Main 2025 registration abhi chal raha hai till November 22, 2025. To, admission lene ke liye ap application form submit kar sakte hai. JEE Main 2025 session 1 exam January 22 se 31, 2025 tak hoga.
Good Luck!
Best books for ecet preparation 2025
Dates for the PhD admission for ECE students